bahut zaruri baat ek tum se karna thi lekin tum ko jaldi bahut thi jaane ki kahna ye tha hum to mashriq maghrib hain mere han to koi drawing-room nahin koi baira na koi batlar na koi maman-shaman koi garage na koi car koi driwer na khansaman ek hi kamra hai jo meri study bhi hai bedroom bhi hai aur drawing-room bhi mera main ek kamre mein rahta hun apne andar rahta hun apne andar rah kar bhi main ek duniya mein rahta hun jabhi kaha tha hum to mashriq maghrib hain mashriq maghrib mein jo farq hai ye wo ghulam hi jaanen do dhai sau sal ghulami ki jo bediyan katte katte qabron mein ja soe hae allah un jaisa bad-qismat koi aur yahan na hue achchha kiya tum chali gain meri baaton mein kuchh talkhi aa gai hai tere aaba ne mere aaba par jo zulm kiya hai wo to meri man ke dudh ne mujhe wirasat mein bakhsha hai