jab kabhi shab ke tilismat mein kho jata hun ya tere husn ki aaghosh mein so jata hun teri taswir ubharti hai pas-e-parda-e-khwab ek tute hue be-laus sitare ki tarah chir kar sina-e-afaq ki tarik faza az-rah-e-wafa teri taswir utha leta hun aariz-o-lab ke jawan git chura leta hun dur tak jada-e-farda pe mahak uthte hain ummid ke phul khwab-e-farda ke gulab jagmagate hain mere dal ke charagh aur jab sarhad-e-idrak pe sine se lagae hue taswir teri sans leta hun thahar jata hun na-gahan aandhiyan chalti hain udati hui dhul gham ke tufan machal jate hain teri taswir ke ubhre hue sab naqsh-o-nigar ja ke bebak andheron se lipat jate hain