rahzani khub nahin khwaja-saraon ke liye shor payal ka sar-e-rah na ruswa kar de hath uthenge to kangan ki sada aaegi tirgi fitna-e-shahwat ko hawa deti hai chandni raqs pe majbur kiya karti hai narm resham se bune shokh dupatton ki qasam log lutne ko sar-e-rah chale aaenge is qadar aaenge bhar jaega phir raat ka dil sakht lahja gul-e-naghma mein badal jaega khun bahane ke ewaz itr-fishani hogi hosh aaega to bikhre pade honge ghungru subh phir chaak libason ka tamasha hoga rahzani khub nahin khwaja-saraon ke liye