nuzul-e-kashf ki rah mein safed darwaze qadam-burida-musafir se puchhte hi rahe tere safar mein to ujle dinon ki barish thi teri nigahon mein khufta dhanak ne karwat li bala ki nind mein bhi hath jagte the tere tamam pahlu masafat ke samne the tere teri gawahi pe to phul phalne lagte the tere hi sath wo manzar bhi chalne lagte the thahar gae the jo baam-e-zawal par ek din hanse the khul ke jo ahd-e-kamal par ek din tere junun pe qayamat guzar gai kaise riyazaton ki wo rut be-samar gai kaise