main tha zamir-e-mashiyyat mein ek azm-e-jalil hanuz shauq ki karwat bhi li na thi main ne ki dafatan mutharrik hue lab-e-takhliq pakad li surat-e-zahir wajud ki main ne wo subh-e-alam-e-hairat wo jalwa-zar-e-bahisht hawa chaman ki lagi aankh khol di main ne wo tarbiyat-gah-zauq-e-nazar, wo wadi-e-nur jahan se pai mohabbat ki raushni main ne wo unfuwan-e-tamanna wo ibtida-e-junun wo ek khalish jise samjha tha zindagi main ne kiya surur ne ek aalam-e-digar paida chura ke pi jo mai-e-sarkash-e-khudii main ne khudi ke nashshe mein allah re be-khudi meri badan se chadar-e-ismat bhi phenk di main ne hua hudud-e-nazar se nikal ke aawara hawa-e-shauq mein jannat bhi chhod di main ne farishte rah gae hairat se dekhte mujh ko na ki qubul mashiyyat ki rahbari main ne dalil-e-rah bani apni garmi-e-parwaz ki taqat-e-par-e-jibril chhin li main ne badhin sitaron ki duniyaen mere lene ko utar ke arsh se niche nazar jo ki main ne magar zamin ki kashish ne su-e-zamin khincha kiya pasand ye zindan-e-unsuri main ne jagah mili jo tadapne ki be-qarari ko to phir hudud mein wusat ki dad di main ne hua talatum-e-hasti ba-alam-e-zarraat chhidak di khak-e-bayaban pe zindagi main ne numu ke josh se sauda-e-rang-o-bu nikla zamin ke dil ki tamanna nikal di main ne huin jahan-e-amal mein shariaten paida khuda ke nam pe barpa jo ki khudi main ne kabhi jalai andhere mein shama-e-ilm-o-amal kabhi bujha di hidayat ki raushni main ne kabhi bigad ke rakh din sawab ki shaklen kabhi badal di haqiqat gunah ki main ne badha to rah gaya pichhe mere zamana-e-haal ruka to waqt ki rafta rok di main ne zamin pe shauq ke fitne bichha diye har su faza mein nind ki masti bikher di main ne kabhi jaga di qayamat nafas ki thokar se utha ke sur-e-sarafil-e-zindagi main ne junun ke josh mein parde nazar ke chaak kiye naqab noch ke fitrat ki phenk di main ne qaba-e-laila-e-tahzib chaak kar dali rida-e-maryam-e-ismat utar li main ne mizaj-e-atish-e-sozan ko kar diya thanda macha di bazm-e-anasir mein khalbali main ne liya shahanshah-e-khawar se raushni ka khiraj kiya asir tabiat ko barq ki main ne ba-inqalab-e-tabiat mizaj-e-ahan ko hawa ki garmi-e-parwaz bakhsh di main ne bulandiyon ka tasawwur bhi rah gaya pichhe pahunch ke itni bulandi pe sans li main ne thithuk gain jo nigahen qarib hujla-e-quds pas-e-hijab-e-adab ye sada suni main ne ki ai harif-e-mashiyyat ba-wada-gah-e-azal thahar thahar teri parwaz dekh li main ne