buland bang dawon ki aawazen khote sikkon ki tarah bajti hain phir bhi chhote qad ke log in qad-awar aawazon ko sunte rahte hain kaghaz ke tukdon ki ab koi qimat na rahi phir bhi bhuki aankhen unhen dhundhti hain aur nakaam rahti hain aur be-rahm hath unhen jama karte rahte hain chhote qad ke log apni aawaz kho chuke hain wo sirf dekh sakte hain aur sun sakte hain