akela-pan parinde ka parinde ka akela-pan samaat-gah-e-virani mein bulbul bolti hai akela-pan gadriye ka kisi sada gadriye ka akela-pan wo is shab bhediyon ke darmiyan tanha nahin hoga akela-pan musafir ka kisi bhule musafir ka akela-pan musafir quwwat-e-parwaz se majbur hai aage nikal jata hai sahil par parinde ghas par tute hue par dekhte hain musafir ke darmiyan tanha nahin hoga akela-pan sitare ka sitare ka akela-pan sitara tutta hai rakh ho jata hai mitti sab chhupa leti hai mitti mein koi tanha nahin hota fana tamil dars-e-be-khudi hai be-irada zist kije be-taqaza paiye kucha-e-bint-e-sara-e-dahr mein chaliye kabhi sar-salamat aaiye aur ek raqs-e-fana tamil dars-e-be-khudi chuntiyon ke darmiyan bhediyon ke darmiyan mittiyon ke silsilon ke darmiyan raqs-e-fana be-irada zist kije