main kulhade se nahin dara na kabhi aare se main to khud kulhade ke phal aur aare ke daste se juda hun main chahta hun koi aankh mere badan mein utre mere dil tak pahunche koi mohtat aari koi mashshaq hath mujhe tarash kar mallahon ke liye kashtiyan aur maktab ke bachchon ke liye takhtiyan banae is se pahle ki meri jaden budhi dadh ki tarah hilne lagen ya meri khushk tahniyan aapas mein ragad kha kar jangal ki aag ban jaen