ek do pal to zara aur ruko aisi jaldi bhi bhala kya hai chale jaana tum sham mahki hai abhi aur na palkon pe sitare jage hum sar-e-rah achanak hi sahi muddaton baad mile hain to na milne ki shikayat kaisi fursaten kis ko mayassar hain yahan aao do-chaar qadam aur zara sath chalen shahr-e-afsurda ke mathe pe bujhi sham ki rakh zard patton mein simatti dekhen phir usi khak-ba-daman pal se apne guzre hue kal ki khush-bu lamha-e-haal mein shamil kar ke apni be-khwab masafat ka izala kar len apne hone ka yaqin aur na hone ka tamasha kar len aaj ki sham sitara kar len