meri jaisi nazmen likhne wali ladki jis khidki ki ot se mujh ko dekh rahi hai us ke dhundle shishon par sab aks hain meri aankhon se bahte pani ke aur naqsh hain us ki chaukhat par un hathon ke us khidki ki aankhon se dekha hai main ne achchha aur bura lamha aur andar aur bahar ke sab mausam wahin se guzre hain is khidki ke aage girta har manzar taswir kiya din ki ujli aahat ko tabir kiya raat sitaron se bhar kar shishon mein undeli apni aankhen de kar taq mein phulon jaise khwab sajae apne tan par gard lapeti khidki par kahin jam nahin jae bahar se aate kankar patthar aur kante chupke se is dil mein chhupae khidki ka koi bhi shisha tut na jae bas itni si baat ka koi dhyan na aaya khidki aakhir kisi bhi samt ko khul sakti hai meri riyazat meri mohabbat tund hawa ke is jhonke se aur barish ki tez phuwar se chand lamhon mein ghul sakti hai dhul sakti hai