baat sirf itni thi hum apne farsuda jazbon ke kath-kabad ko bhi ujle lafzon ke show-cason mein saja kar ham-kalami karte the jaane kitne jismon ke visal se hote hue ek dusre ke qarib pahunche the ham! hamari dhuli-dhulai jholiyon mein jugali kiye hue boson ki sadand thi hamare lams khuda ko chhune ki khwahish mein maile ho rahe the hatheliyon ki chingir mein pade basi duaon ke niwale hum se nigle na jate the lahu thokti hui mohabbat hum se bichhad rahi thi aur hum munh pher kar use rukhsat ke do aansuon ka namak tak na de pa rahe the rishta, sachcha izhaar mangta tha aur hamare pas apni rafaqaton ki taziyat ke liye bhi do lafzon ki taufiq na thi baat sirf itni thi ki hamari ruhen ek dusre se muawanat nahin kar pain thin ya phir shayad hamare pas ek aur mohabbat ki gunjaish hi nahin thi!