zindagi ek dur tak sangit thi ab shor hai han magar is shor ke bikhraw mein be-mahaba saut ke takraw mein shayad abhi andokhta kuchh zer-o-bam hon aao hum tum koi zer-o-bam talashen koi pech-o-kham tarashen aur is tartib-kari ki shuuri koshishon ko la-shuuri naghmagi ki aakhiri mitti hui si gunj se angez kar ke ek shab koi ek aahang de den is se pahle ki ye shor-e-na-tamam sur-e-israfil ke itmam mein kho jae hashr utthe aur qayamat aae aur hum ko jhonk de aawaz ke ek munqat'a rishte ke dozakh mein faisla kar de hamare darmiyan ek daimi khud-na-shanasi ke jahannam ka is se pahle aao hum tum is khalij-e-na-rasai par sada ke pul bana den be-nishan hone se pahle is zamin par aakhiri pahchan ki duniya basa len