sarsarahat hai na aahat hai na halchal na chubhan dard chup-chap kisi dhimi nadi ki surat sans leti hui ganthon mein utar aaya hai kitne barson ki riyazat se hunar-mandi se aaise bikhre hue reshon ko sameta hai magar aur har bar har ek bar bahut jatanon se jism ko jaan se joda hai magar be-sabab sans ki katti dori kab se thame hue baithe hain magar aaj nahin ya kahin dard thame aur sakun mil jae ya koi ganth khule aur qarar aa jae