pyare bete tu ne int gare cement aur sariye wala makan to bana liya hai meri dua hai ki ye mohabbat amn khushi aur khush-haal se bhara ghar ban jae is ke darwaze se koi badi aur burai dakhil hi na hone pae khidkiyon se zindagi-bakhsh hawa to zarur andar aae lekin har tufan bahar hi rah jae tera ye ghar wo kashti ban jae jo tujhe har bhanwar se ba-khair nikal le jae garmiyan aaen to ghar qurbaton ki garmi se damak utthe khizan aae to diwaron par saje fan-paron se bahaar sharma jae bahaar aae to mahsus ho ki tera ghar hi is ka mamba hai bahar kitna hi shor-o-ghaugha ho tere ghar mein sukun-o-rahat ho bahar kitna hi andhera ho tere ghar mein nae hauslon ke charagh raushan hon tere ghar ki chaar-diwari is qile ki fasil ban jae jis mein nafrat naqb na laga sake mohabbat jis ke andar mahfuz ho ek dusre ki mohabbat insan ki mohabbat khuda ki mohabbat ghar kar jae ghar