tum mujhe yunhi rahne do meri aahon ko hawa ke dosh par yunhi bahne do lafz to wo bhi nahin lafz to main bhi nahin yahan lafz to koi bhi nahin magar hum donon mein koi fasla bhi nahin na jaane kaun hai wo jo gai raat tak mere andar jagta hai ang ang mein bolta nas nas mein dolta hai lahu lahu chikhta hai jism-o-jaan ka ye safar kitna dushwar hai mujhe din ke bazar se kharide hue is ibn-e-adam ki justuju hai jo be-nishan rasto par mujhe qatl kar de mujhe us hadse ki talash hai jo mujhe abhi khatm kar de ya phir meri ruh ki azan ka koi taaqub kare duaon ki tafsir mein pal pal nazren bichhae wafa ki aag se raushan charagh-e-tur liye kisi diwar ke lab se koi naghma sunae hama-waqt mohabbat jatae lekin main to us sadi ke qarz ka sud hun jis ki adaegi mumkin na ho sakegi na ruk sakegi pighalti mom jismon ki na khankegi chudi na gali jagegi tumhaare aangan se utri hui dhup mere aangan tak ko pahunchi hai lekin mujhe yaqin hai ki wo phir fazaon mein kho jaegi ek din sannate mein dub jaegi