do paise mein tin khilaune do paise mein tin sada aur rangin ye chini ki gudiya hai ek taraf se nannhi munni ek taraf se budhiya hai jeb mein yun aa jati hai ye jaise zara si pudiya hai sada aur rangin do paise mein tin khilaune do paise mein tin ye mitti ki ghodi hai is ki mang bahut hai lekin is ki qimat thodi hai sath agar ghoda bhi ho to sab se achchhi jodi hai sada aur rangin do paise mein tin khilaune do paise mein tin ye chhoti si motor hai tillu aao pillu aao dekho kaisi motor hai sab se behtar sab se pyari sab se achchhi motor hai sada aur rangin do paise mein tin khilaune do paise mein tin ye chidiya ka bachcha hai is mein bilkul jaan nahin hai jism bhi kuchh kuchh kachcha hai jhut nahin bolunga hargiz mera wada sachcha hai sada aur rangin do paise mein tin khilaune do paise mein tin ye tote ka pinjra hai ek nanha munna sa tota is mein gum-sum baitha hai kuchh nahin khata kuchh nahin pita yun hi baitha rahta hai sada aur rangin do paise mein tin khilaune do paise mein tin