dekhte dekhte chyuntiyan kitni rondi gain aakhiri sans tak palat kar jhapatne ki ummid mein sar uthati rahin dekhte dekhte mere aasab mein bijliyan ghul gain rengti chyuntiyan jild ko chir kar khun mein mil gain ab main koi aur hun ek ghayal darinda ki jis ke liye zakhm hi zakhm hain (chahe apne hon ya dusron ke) aakhiri sans tak zakhm hi zakhm hain sari basti hai sahmi hui log sab falsafe bandh kar bhag uthe mujh pe ab koi hansta nahin main akela magar kal badi der tak khud pe hansta raha aaine se ye kahta raha ya to har dard ke koi mani hain ya phir kisi dard ke koi mani nahin