khwab garmi ki chuttiyon pe gae ho gae band gate aaankhon ke ishq ko dakhila mila hi nahin khwahishen lockeron mein qaid rahin jo bike us ke dam achchhe hon zindagi ho ki koi titli ho be-sabaati ke rang kachche hain kaun batlae un zaminon ko jangalon ke ghane darakhton mein gar khizan bele-dance karti ho misr ko kaun yaad karta hai kam nahin lucknow ki umrao is se behtar yahan pe hain firaun kaun sa dewta aur kya ramis mirza-'wajid'-ali bhi kam to nahin kaun girya kare, kare matam kaun tarikh-e-kisht-o-khun ko padhe bebasi git bunti rahti hai donon aaankhon ko dhanpe hathon se