phir wahi mahaul wahi shor-sharaba wahi kuchh nae purane chehron ka bol-baala phir se saj gai tabdiliyon ki mandiyan par asl mein kuchh nahin badalne wala phir chikhte phir rahe bad-hawas chehre phir rache jaanen lagen hain sadyantr gahre phir se gunjne lagen hain fazaon mein nare pichhlaggu ban gae hain kuchh bhuk ke mare phir se ye batai jaane lagi badlaw ki baaten phir se kursi qabzane ko hone lagin hain ghaten phir se aa gaya hai chunaw ka mausam panch-sala par asl mein kuchh nahin badalne wala kuchh aa jaenge chehre nae purane ban ke rahnuma lag jaenge desh ko khane phir shurua hoga aam aadmi ki taqdir se khel phir bheja jaega kuchh haare huon ko jail phir se nayay ka dhong rachaya jaega aadmi ko roti ke wade se bahlaya jaega phir se hoga lut-khasut ka nanga nach phir jhuth ko bataya jaega sanch mujhe jalaegi mere andar ki aanch aur tutte sapne chubhenge ban ke kanch phir se zindagi bunne lagegi makad-jala main jaanta hun ki kuchh nahin badalne wala