wo bachcha kahan hai jo kah de ki hazrat-salamat ye sab log malbus-e-shahi ka iqrar karte rahen mujh ko to aap nange nazar aa rahe hain wo bachcha jo itni purani kahani mein zinda chala aa raha hai hamare watan mein bhi hoga hamare watan mein bhi hoga dari aur sahmi magar phir bhi jari ye aawaz dil chirti hai hamare watan mein bhi hoga hamare watan mein bhi hoga main darbariyon mein to kya naukaron ke jilau mein bahut dur baitha libas-e-shahi ka madah-khwan to ab bhi nahin ishaaron kinayon alamat se ya khurafat se kuchh na kuchh nazm mein kuchh na kuchh nasr mein badbadata raha hun magar wan bhi yan ka ye afsana sab ko sunata raha hun wo 'ghaalib' na ho aur 'jalib' rahe phir bhi aisa hi bachcha hamare watan mein bhi hai aur rahega