usi jagah se dhundlaya hai har aaina jahan-jahan par aks thithak kar thahar gaya hai ek darad si ug aai hai us ke pichhe phailta suraj sahm ke shabnam ki narmi mein rasta dhundne nikal pada hai palkon par se qatra qatra bahta sagar khinchte khinchte pure falak par phail gaya hai aur simat kar kai lakiren bah nikli hain aise jaise shahr ki galiyan rassi ke bal khate tukde ek azim masafat ke sailab mein pal pal dub rahe hain dast-e-falak se kat kar girte sab khwabon ka aks ruka hai aaine mein aadhe soe soe sitare nind ke gahre gadhe mein utre jate hain jo pathrai aankh mein jam kar bhi pani se bhara hua hai