yunhi kuchh talash karte hue achanak ek purana aur bosida khat mila hai guzishta kai salon ka tawil rasta yun pal bhar mein tai ho gaya hai yaadon ke jharokon se laga hai jhankne sham ka wahi hasin manzar us purze ne meri ungli tham li aur le aaya hai mujhe un hi derina raston tak mazi ke gum-shuda faslon tak usi sahil par jis ka zikr is khat mein hai yaadon ke us khet tak samundar ki thandi ret tak kachche kachche wo gharaunde jo waqt ne mita diye honge yaad aaya hai mujh ko wo guzra zamana wo aarzi sa koi thikana lekin ye kya samundar ka wo namkin pani jis ne kabhi mere pairon ko bhigo diya tha aaj wahi namak meri aankhon mein utarta ja raha hai aur ye masum purza mere hathon mein tharthara raha hai