kisi ki yaad dil mein hai ki jis se ji nidhaal hai kahun agar to kya kahun ajab tarah ka haal hai na wo zamin na wo falak na ab wo kaenat hai wo zindagi hi ab nahin na din hai wo na raat hai wo aarzu hai kaun si jo aaj pa-ba-gil nahin hai nam dil ka dil magar jo sach kahun to dil nahin ghata uthi to hai magar papiha aaj gay kya tadap meri mitae kya lagi meri bujhae kya wo prem se bhare bachan ki jin se kan-ashna wo mast aankh mad-bhari ki jis se jaan aashna wo baat baat par hansi wo chhed pyar pyar mein qarar ek tadap mein wo tadap wo ek qarar mein kabhi udhar se takna kabhi udhar se dekhna wo mere dil ke shauq ko meri nazar se dekhna gharaz wo din ki jab mere chaman mein ek bahaar thi gharaz wo din ki jab khushi mere liye singar thi gharaz wo din ki naghma-zan masarraton ka saz tha gharaz wo din ki husn jab mera nazar-nawaz tha gharaz wo din ki jab se dil nishan gham ka dur tha gharaz wo din ki aankh mein bhara hua surur tha gharaz wo din ki main bhi jab kisi ke dil ka naz thi gharaz wo din niyaz ke ki jab main be-niyaz thi gharaz wo din khayal tha ki ab na jaenge kabhi chale gae kuchh is tarah ki phir na aaenge kabhi ghazab ye hai shabab mein mera suhag lut gaya safar mein tha jo ham-safar usi ka sath chhut gaya ye sach hai mujh gharib ka koi rafiq ab nahin ye sach hai gham-nasib ka koi shafiq ab nahin fughan mein ab wo josh hai ki jis ki intiha nahin jigar mein ab wo dard hai ki jis ki kuchh dawa nahin khayal hai khizan mein bhi mujhe usi bahaar ka ghazab hai chhodta nahin fareb intizar ka ajal ki ek shakl hai ye dard is bala ka hai dawa karun to kya karun ki waqt ab dua ka hai meri tarah na zindagi kisi ki yun ajib ho nasib maut ho agar to zindagi nasib ho