rafta rafta sab aawazen jo dil ke andar hain aur bahar ek aise sakte mein kho jaengi jis ka mafhum abhi tak kisi ishaat-ghar ke harfon mein dhala nahin hai aasar-e-qadima ke mahir madfun purane shahr ke andar bahar se khod chuke hain lekin us ka mafhum abhi tak kisi imarat ki shah-gardish ki mehrabon mein aur kisi chaar aaine ke riste ghaw mein mila nahin hai jis ko is ka raaz mile wo hasb-zel pate par pahuncha de: 'anis-nagi', lahore