farq kuchh bhi nahin chahe kisi bhi samt chalun shahr ka dasht ghana aur ghana hota hai nim-tarik gali jis mein laga ek khamba zardi-e-khas se rangta hai gali ke kankar jhuk gaya hai jo kisi pir-e-khamida ki tarah dam-ba-dam jal ke bujha bujh ke jala kya kahiye bas yahi shai hai jise shahr ka jugnu kah dun sochta hun main kabhi yun bhi ki is duniya mein be-maani hai mera wajd mein aa jaana bhi be-maani hai maani ki tawaqqo' karna ek jangal hai ki jis mein mere aa jaane se farq kuchh bhi nahin chahe koi bhi rah chunun ye jagah bhul bhulaiya hai magar raston se main bhi manus hun duniya bhi hai sab log bhi hain aur ek lamha-e-be-sud ko jine ke liye sabhi koshan hain sabhi ji rahe hain jine ko aur main bhid mein tanha hun thaga sa phir bhi aaj main bhi hun isi bhid ka hissa bhar bas main sawalon se aqidon pe ludhak aaya hun dhundh hai zehn mein pasti ka mujassam hai badan koi aawaz-e-nihan mujh se dobara na kahe jag kar bhi na uthe bistar-e-duniya se kyon tum maani ke musafir the musafir hi to the