zindagi itra rahi hai aaj tere nam par naz hai paighambaron ko bhi tere paigham par rahbar-e-insaniyat teri aqidat ke tufail hum ne ghalba pa liya hai gardish-e-ayyam par mere dil ki wusaten angdaiyan lene lagin jalwa dekha jab tera har mod par har gam par kyun na ho phir aaqibat ki fikr se wo be-niyaz zindagi qurban kar di jis ne tere nam par maujzan hai jis mein ai charkh ek surur-e-sarmadi meri duniya hai tasadduq is chhalakte jam par