jal rahe hain diye munderon par ho raha hai karam andheron par tum jo ban kar kiran kiran aao dagh-e-dil bhi hansen saweron par muskuraati hui chali aao dil sulagta hai dagh jalte hain chhanchhanati hui chali aao aarzuon ke bagh jalte hain hun ki dewi ho tum mere ghar mein roz diwali gham-zada ghar mein hun lutati hui chali aao aansuon ke charagh jalte hain jis ko kahte hain log diwali unche aadarsh ki nishani hai bap-dadon ke pak jiwan ki ek azmat-bhari kahani hai