kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara himmat ho to tufan-e-bala-khez hai kya chiz himmat ho to phir yas-e-gham-angez hai kya chiz maujon ka talatum hai ummidon ka nazara kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara himmat mein mila karti hain mushkil ko panahen himmat mein khula karti hain tadbir ki rahen himmat se palat jata hai taqdir ka dhaara kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara himmat se andheron mein ubharte hain ujale himmat se chamakte hain sanwarte hain ujale himmat hai nawedon ka darakhshanda ishaara kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara har fard hai is mulk ki izzat ka muhafiz har fard hai is des ki azmat ka muhafiz har fard hai is qaum ki qismat ka sitara kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara