us nazar bas usi nazar ki qasam jo mujhe ye bata ke laut gai kyon rag-e-jaan mein phul khulte hain phul kyun pairahan badalte hain pairahan kyun hasin hote hain dil ko kab aql aane lagti hai aql kab sau qayas bunti hai kab qayason mein ghar sanwarte hain chand ke har tawaf ke maani khushbuon ke hisar ka matlab kyun hai baad-e-nasim ki gardish ab main samjha bahaar ka matlab kaenat ab samajh mein aai hai ab khudai ke raaz samjhe hain zindagi ab nahin muamma-sifat ab mashiyyat ke tar suljhe hain meri har ek his ko teri talab meri har sans justuju teri tu sarapa har ek manzar mein aur khushbu bhi ku-ba-ku teri tu ne dekha hai jis nazar se mujhe