mazhab ki talwar bana kar khwahishon ke andhe ghode par sawar mere man aangan ko raund dala mere bharose ko suli par tang kar tum ne dusra byah racha liya tumhaare sang guzare pal pal ko main ne apne mas par khaal ki tarah mundh liya tha tumhaare sath aanchal bandh kar baba ka aangan par kar ke tumhaare lae sanche mein main ne paya tha apna wajud pyar kya hai ye nahin jaanti par tumhaare ghar ne bad ke ped si chhanw ki thi mujh par bachaya tha zamane ke gunahon ke tiron ki bauchhad se is sanche mein rahne ki khatir main apne wajud ko katti chhantti tarashti rahi tumhaare lahu ki bund ko apne mas mein janm diya aulad bhi hum donon ka bandhan na ban saki bandhan kya hai ye nahin jaanti mujhe faqat ek sabaq padhaya gaya tha tumhaara ghar meri aakhiri panah-gah hai main ne kai bar dekha hai zamane ki nigahon se sangsar hote talaq-yafta aurat ko is liye barish se dari billi ki tarah ghar ke ek kone aur tumhaare nam ke istimal par qanaat kiye baithi rahi jannat kya hai jahannam kya hai ye nahin jaanti magar itna yaqin hai jannat bharose se baala-tar nahin aur jahannam saut ke qahqahon se badh kar giran nahin tanon aur rahm bhari nazron se badh kar mushkil koi pul-siraat nahin kabhi kabhi sot ka chehra mujhe apna jaisa lagta hai us ki peshani par bhi main ne be-e'tibari ki shiknen dekhi hain jab wo mujhe dekhti hai khushi us ke sine mein hathon mein dabae kabutar ki tarah phad phada uthti hai main un se lad nahin sakti un mein tum shamil ho main tum se lad nahin sakti mazhab qanun aur samaj tumhaare sath hain riten rasmen tumhaare hathiyar hain dil chahta hai ki zindagi ki kitab se wo bab hi phad kar phenk dun jo apne mafad mein tum ne mere muqaddar mein likkha hai