aaina raqs mein hasrat ki shanasai ka kitne chup-chap kharabon mein liye jata hai har taraf nirkh-zada chehron ki aawazen hain meri aawaz kahan thi meri aawaz kahan madfan-e-waqt se kab koi sada aai hai ek lamha wahi lamha meri tanhai ka zakhm par zakhm mere dil ko diye jata hai phul ke hath mein hai raat ke matam ka charagh kabhi bujhta kabhi jalta hai sulagta hai kabhi sans se jism ka nata meri ruswai hai ham-safar kaun hua lala-e-sahrai ka parda-e-raaz-e-azal chaak kiye jata hai sar hatheli pe sajae hue chalte rahna zinda rahne ke liye rasm rahegi kab tak dard dariya hai wahi dard ki gahrai hai