rukti sansen hain aur sina maut ke panw tale hai jina oghat ghat bhanwar ke chakkar dag-mag hai jiwan ka safina gham aur aansu aansu aur gham gham khana aur aansu pina barkha-rut viranon ki hai chandni qabristanon ki hai man mein lahr kabhi uthti thi baat ye ab afsanon ki hai jaise sae reng rahe hon haalat ye insanon ki hai hum se ghafil taqdiren hain be-dast-o-pa tadbiren hain khushk labon ki murda aahen bhuke pet ki tafsiren hain kaise kahen hum bhi jite the ab to be-jaan taswiren hain jite hain aur mar nahin sakte bebas hain kuchh kar nahin sakte phulon ki khushbu aati hai daman un se bhar nahin sakte duniya duniya kahne wale duniya apni kar nahin sakte sab ka palanhaar kidhar hai duniya us ka hi to hunar hai bane khilaune tut rahe hain uf ye gharaunda zer-o-zabar hai kuchh rote hain kuchh hanste hain aur phir donon ka ye ghar hai