subh hui ab uttho bachchi nind abhi tak kyon hai kachchi raat gai wo suraj nikla wo phaila ghar bhar mein ujala uttho uttho munh dho dalo susti ho to ja ke naha lo aapa jagin bhayya jage uthte hi bistar se bhage abba utthe dadi utthin aur namazen sab ne padh lin jag utha hai ghar bhar sara ye kaisa sona hai tumhaara subh sawere susti kaisi aadat kuchh achchhi nahin aisi subh ka manzar hai kya achchha kitna suhana kaisa pyara uth baitho angdai le kar aur lapeto apna bistar apne kaam karo tum khud hi baat yahi hai sab se achchhi nashta kar lo jaldi aa kar phir padh aao jhat jhat ja kar aaj naya lena hai sabaq phir jaldi ulte taki waraq phir ustani ke ghar hai jaana kal ka sabaq un ko hai sunana padhne likhne hi mein maza hai kaam isi se sab ka bana hai hai yahi har ladki ka gahna hargiz tum be-kar na rahna sikhna hai phir khana pakana rang apna ghar bhar mein jamana dekho apni zid pe na udna sab ko tum se kaam hai padna dekho waqt na apna khona padhna likhna sapna pirona kaam se hargiz ji na churao taki jahan mein izzat pao adab tamiz aur hunar saliqa sikho ghar mein beti rafiqa sikh lo jaldi khana pakana apni man ka hath batana ye sab tum jab sikh chukogi ghar aur bahar izzat hogi sab ye kahenge wah ri ladki tu hai kitni achchhi beti tujh se kya khush ji hai hamara kitni sughad kya kaam hai pyara jitna pyara kaam hai tera duniya bhar mein nam hai tera