sab se achchhi bich ki rah khub nirali bich ki rah bich ka hai har kaam achchha bich ka hai anjam achchha bich ki har dam rah chalo phulo phalo farkhanda raho aisa koi kaam na ho jis mein kuchh aaram na ho jis ko aisi aadat hai har dam us ko rahat hai khane mein bhi bich ki rah sone mein bhi bich ki rah dawat ho ya ghar par ho bhuk se thoda kam khao itna kam bhi mat khao duble ho kar pachhtao thoda kaam ho achchha ho warna sarasar ghata ho khair ka pahlu hai is mein khair ki khushbu hai is mein 'shauq' ye achchha nuskha hai kitna sasta nuskha hai