le ke wo aai hui thin apne shauhar se talaq chahti thin ahliya ko main bhi dun dagh-e-firaq sath apne lai thin wo chhe adad bachchon ko bhi aur kahti thin ki kar do apne chhe bachchon ko aaq kothiyan caren kai aur bank balance be-hisab shahr mein tha har jagah mashhur un ka tumtaraq sar kadahi mein ho jaise ghi mein pancho ungliyan tha proposal hi aisa kyon na badhta ishtiyaq munh mein pani aa gaya mere ye sab kuchh dekh kar zikr begam se kiya main ne phir az-rah-e-mazaq bar-sabil-e-tazkira hi baat un se chhed di taki kuchh aisa lage jaise ho bas ek ittifaq zikr karna tha ki wo aape se bahar ho gain aa gaya fauran samajh mein is kahani ka siyaq wo jalal aaya unhen ki al-aman-o-al-hafiz munh bhi un ka phail kar aisa hua jaise tabaq qadr thi lazim mere jazbaat ki un par magar is takalluf ko unhon ne rakh diya baala-e-taq phir meri durgat bani aisi ki kuchh mat pochhiye haddiyon se aa rahi thi ye sada tad tad tadaq