ghusl-e-tahaarat ke liye duba ufuq mein aaftab afrokhta qindil apni hath mein apne liye rahibana raat phirti hai falak par sogwar justuju se shal hain ab chappu chalate hath mah o sal ke be-sabr, jhuk kar hath se apne fana wast-e-samandar mein uthati hai bhanwar hoti hai mohlat khatm ab to parda-e-ikhfa utha mere muqaddas khwab ki tabir tu apni jhalak mujh ko dikha de ek bar ki chhin lene ko fana hai mujh se tera intizar