aakash pe dip sitaron ke dharti par phul bahaaron ke sabze par shabnam ke moti sawan ki hawa thandi thandi ye mere bikhre sapne hain lahraate hue bahte chashme chashmon ke nashat-agin naghme kohsar ke rangin sham-o-sahar jangal ke hasin dilkash manzar ye mere bikhre sapne hain bijli ki kadak baadal ki garaj khun-bar shafaq dhalta suraj mahtab mein nind jawani ki aur khushbu raat ki rani ki ye mere bikhre sapne hain dariya sahil kashti langar hire moti kankar patthar pariyon ke mahal indar ki sabha tikhi chitwan banka chehra ye mere bikhre sapne hain nazmen ghazlen aahen naghme khun-e-jigar kuchh dal ke tukde bhuli-bisri biti baaten gham ki anokhi si saughaten ye mere bikhre sapne hain