faiz-e-qudrat se jo taqdir khuli aalam ki sahil-e-hind pe wahdat ki tajalli chamki mit gai jahl ki shab subh ka tara chamka aariya-wart ki qismat ka sitara chamka ahl-e-dil par hui kaifiyyat-e-irfan tari jin se duniya mein huin din ki nahren jari thin khuli jalwa-gah-e-khas mein rahen un ki waqif-e-raaz-e-haqiqat thin nigahen un ki arsh se un ke liye nur-e-khuda aaya tha banda-e-khas the rishiyon ka laqab paya tha wed un ke dil-e-haq-kesh ki taswiren hain jalwa-e-qudrat-e-mabud ki tafsiren hain ain kasrat mein ye wahdat ka sabaq wed mein hai ek hi nur hai jo zarra o khurshed mein hai jis se insan mein hai josh-e-jawani paida isi jauhar se hai maujon mein rawani paida rang gulshan mein faza daman-e-kohsar mein hai khun rag-e-gul mein hai nashtar ki khalish khar mein hai tamkanat husn mein hai josh hai diwane mein raushni shama mein hai nur hai parwane mein rang-o-bu ho ke samaya wahi gulzaron mein abr ban kar wahi barsa kiya kohsaron mein shauq ho kar dil-e-majzub pe chhaya hai wahi dard ban kar dil-e-shair mein samaya hai wahi nur-e-iman se jo paida ho safa sine mein aks us ka nazar aata hai is aaine mein