ek nazm

ai kisi gulshan zarrin ki garan-qadr kali
apni ujdi hui mahkar chhupa le mujh se

ai kisi bistar-e-kam-khwab ki be-rang shikan
apna raunda hua kirdar chhupa le mujh se

ai kisi jannat-e-zar-fam se aane wali
apna tuta hua pindar chhupa le mujh se

tu ne ek bar kaha tha mujhe tanhai mein
pyar daulat ka parastar nahin ho sakta

zindagi hirs ke pahlu mein nahin so sakti
jism ruswa sar-e-bazar nahin ho sakta

walwale ruh ke nilam nahin ho sakte
husn zillat ka parastar nahin ho sakta

maslahat aaj magar jit chuki hai tujh ko
koi kis munh se kahe munis-o-gham-khwar tujhe

koi kis dil se kahe pyar ki rani tujh ko
koi kis tarah kahe paikar-e-isar tujhe

tu ne bechi hai sar-e-am jawani apni
gudgudati hai zar-o-sim ki jhankar tujhe

ye tera pyar tere jism ka sauda hi sahi
ab teri ruh tere pas nahin aaegi

ye tera dil ki bhatakta hi chala jata hai
is mein ab shiddat-e-ehsas nahin aaegi

tu ne har-chand garan nirkh ye jalwe beche
ye tijarat bhi tujhe ras nahin aaegi

dekh us daur-e-jahan-soz ke virane mein
lazzat-e-jism ke tufan ba-har-gam uthe

kya yahi tujh ko sikhaya hai nizam-e-zar ne
ki mohabbat ka janaza sahar-o-sham uthe

kya yunhi pyar ki tauqir hua karti hai
ki mahakti hui har sans ka nilam uthe

dekh is dahr mein arbab-e-hawas ke hathon
aabru pyar ki mitti mein mili jati hai

hirs ka shor fazaon mein racha jata hai
baat ikhlas ki honton mein sili jati hai

sadgi husn ka majruh-e-tabassum ban kar
kisi jallad ke chehre pe khuli jati hai

tu ki ab tujh se mujhe koi sarokar nahin
ban ke tu kis ke liye aaina-ru aati hai

ye numaish ki mohabbat ise main jaanta hun
kyun mere samne sahmi hui tu aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close