ye sach hai ki pet apna bharti hai billi kitchen ki safai to karti hai billi nahin hone deti hai hargiz wo khad-khad ki khidki se jis dam utarti hai billi jahan par ki do chaar kutte hon maujud to aisi jagah kab thaharti hai billi karen taki tadfin k-m-c wale jabhi bich raste mein marti hai billi badi nasl ka jab nazar aae chuha to bach kar wahan se guzarti hai billi miyaun miyaun miyaun miyaun ijazat talab aaise karti hai billi bila-wajh billi se darte hain bachche haqiqat mein bachchon se darti hai billi