is qadar hum se gurezan kyun ho kuchh nahin hum hain faqat aks-e-khayal ek taswir ka dhundla sa nishan harf-o-mani ke pur-asrar tasalsul mein kahin an-kahi baat ka ehsas-e-ziyan ajnabi shahar mein chalte chalte rasta hath pakad le to ruko jis tarah tez hawa aa ke dariche pe kabhi dastaken deti hai chup chap palat jati hai aur guzargah-e-samaat mein faqat gunjte hain us ke qadmon ke nishan jo yaqin hain na guman kisi ek lamha-e-guzran ki haqiqat kya hai kar-e-ulfat bhi agar kar-e-aziyyat hai to phir aakhir is kar-e-aziyyat ki zarurat kya hai