faqat khali pinjra badan ka pada tha aur nim-wa in kiwadon ki har charcharahat mein hairaniyan bolti thin zamin ki faza se mujhe kis ne bahar dhakela falak tak meri dastaras kyun nahin thi na jaane main kab tak khala mein bhatakti rahi thi wahin par munaqqash darichon mein sarsabz belen sutunon se lipti hui thin chamakte hue chhat ke fanus ki raushni mein belon ke patton ki aankhon mein thahri nami jhilmilane lagi thi! magar sab ki nazren saji tabalon par jami thin kisi ko khabar kab hui thi wahan mein nahin thi