jab khat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka main baith ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun kuchh andhe kodhi diwane aankhon mein samane lagte hain kuchh qaht-zada bhuke pyase jaan khamoshi se de de kar duniya mein muflis rahne ki taziren pane lagte hain katte hain jin ke sham-o-sahar ek qabil-e-nafrat khwari se jo marte hain aasani se aur jite hain dushwari se khun chus liya hai ghairon ne bimar bhi hain nadan bhi hain jine ki tamanna dil mein hai aur jine se bezar bhi hain is dard ki mari duniya mein aise insan kyun baste hain jo sari umar zarurat ki chizon ke liye bhi taraste hain go aise log bhi hain jin ko aasaish hi aasaish hai wo sab hai muhayya un ke liye jis chiz ki un ko khwahish hai jin ke liye sona mitti hai jin ke liye moti saste hain lekin majbur insanon ko kyun haq nahin hasil jine ka tufan hi ke qabze mein kyun patwar hai un ke safine ka kab tak be-bas insan yunhi taqdir ka rona roega kab tak be kuchh pae hue apna hi sab kuchh khoega kab tak andhi bhedon ki tarah ye apni rah na paega kab tak maut ke aage se pichhe hi hatta jaega phir khud hi dil bol uthta hai ab waqt badalne wala hai zarre suraj ban jaenge wo daur bhi aane wala hai ummid ki ek nannhi si kiran mayusi par chha jati hai aur us ki zau mein ek nai duniya bazu phailati hai sui si ragon mein chubhti hai aankhon mein aansu aate hain dil be-qabu ho jata hai jine ki hawas badh jati hai jaan waqf-e-tapish ho jati hai aur azm-e-baghawat karti hai us waqt ek sail iradon ki sinon se ho ke guzarti hai duniya ko khuld banane ka jo dhyan sa dil mein aata hai aisi khabron ke sunne se wo aur qawi ho jata hai jab khat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka main baith ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun hum jang karenge fitrat se fitrat par qabu paenge aur fitrat par qabu pa kar ek roz amar ban jaenge