dur kawwon ne baith kar lab-e-ju phir hilae thake thake bazu gir rahi hain siyahiyan har-su ek hi bar dal ke darwaze khulte hain aur phir nahin khulte raat aurat hai garche tira-jabin dil magar karwan-e-sarae nahin ek aiwan hai jis ke darwaze khul ke ek bar phir nahin khulte ek bewa ke naujawan jazbaat soch raushan magar andher hayat chandni naghma-ha-e-kaif-o-surur chand lamhon ka ek fasana-e-nur aur phir tirgi sahar-andesh jis tarah koi ek pal ke liye apna aanchal bikher kar chun le aur phir parda-ha-e-tariki ek hi bar dal ke darwaze khulte hain aur phir nahin khulte