ab hum jaan gae hain ki andhere hamara muqaddar nahin the balki tum ne shahr ki tamam street-lights bujha di thin hamara frustration tumhaari makkari hai ki hum se mohabbat aur jins ki sachchi masarraten chhin kar tum ne hamein blue-film ka aadi bana diya hamare hashish bhare sigreton ka dhuan tumhaari mashinon ke azab aur milon ki chimniyon se nikalne wale zahr ka natija hai lekin ab zahr tumhaara muqaddar hoga ki hum tawanai ke sath zinda rahne ka gur jaan gae hain ab hum continent ke khunkhar bhediyon aur siberia ke barfani richhon se nahin darte jinhon ne puri duniya ko nazi camp bana diya tha ab hamein in maskhare toton ki danishwari nahin chahiye jo hazaron sal ki rati-ratai baaten dohra kar hamein ilm ke nam par bewaquf bana rahe the plato bahut bada aadmi tha phir bhi apne daur ki republican hum khud likhenge hum masum bachche hain magar hamare khilaune tod kar tum ne hamein galiyan dene par majbur kar diya kal hum picnic manate manate magarmachh ke munh mein chale gae the lekin aaj paniyon par aag laga kar tairte rahne ka fan sikh chuke hain kal hum tum se baat karte darte the lekin aaj khuda se hot-line par guftugu kar rahe hain agar tum rockiton par baith kar bhagodon ki tarah chand aur mirrikh ki taraf jaana chahte ho to jao hamein hamari zamin aur aane wala zamana chahiye raat fahisha aurat thi jo tumhaare sath soi rahi lekin ab din nikal chuka hai aur us ka raushan suraj andheron black-out aur fahisha auraton ke liye maut ki alamat hai