shahid-e-dahr ki taswir banane wale apni taswir ki jaanib bhi zara ek nazar ai har ek zarre ki taqdir banane wale apni taqdir ke khakon ko faramosh na kar teri taqdir hai aaina-e-taqdir jahan khub malum hai tera gham-e-tanha mujh ko tujh mein uthne ke nishan tujh mein sambhalne ke nishan teri surat mein nazar aata hai farda mujh ko muntashir ho ke zamane mein hua khar-o-zabun ho munazzam to qawi tujh sa zamane mein nahin an-ginat hath tere jab bhi uthe hain mil kar tere qadmon pe jhuki aa ke chatanon ki jabin khaliq-e-nan-e-jawin tu hai ziyan teri hai fikr ki baat nahin sara jahan tera hai quwwaten tujh mein jo hain un ki khabar tujh ko nahin jo ayan hai wo tera hai jo hai nihan tera hai gham ko sine mein daba rakkha hai tu ne lekin gham badi chiz hai to us se koi kaam to le tishnagi badh ke kahin tera gala ghont na de mai bhi mil jaegi saqi se magar jam to le