bolta kyun nahin

tu ne kyun apne galon pe sarson mali
tu ne kyun apni aankhon mein chuna bhara

teri goyai kis dasht ke bhediye le gae
bolta kyun nahin

bolta kyun nahin tifl-e-masum to kab se bimar hai
kaisa aazar hai jis ne teri shabon se teri nind tere dinon se

khilaune churae
tu soya nahin hai magar jagta kyun nahin

dekhta kyun nahin tere baba ke baalon mein khujli hai aur ungliyan jhad chuki hain
hisab-e-shab-o-roz karte hue

teri amman ke rasha-zada hath khush-haaliyan dhundte dhundte
in dhule bartanon mein pade rah gae

subh-e-tabir ne shakh par sabz hone ki hasrat likhi
aankh ko motiya de diya

dekhta kyun nahin aaj bazar mein jashn-e-iflas hai
shahr ki bhuk chori hui

aur khabron ne akhbar gum kar diya
log rote rahe

log hanste rahe
tere bistar pe ashkon ki champa khili

aur tu chup raha
tere mathe pe muskan ka itr chhidka gaya

aur tu chup raha
meri handiya jali

mera chulha bujha
meri jholi se harf-e-dua gir gaya

mere bachche tu lab kholta kyun nahin
bolta kyun nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close