main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan jumbish dah-e-barg-o-samar surat-gar-e-sham-o-sahar jaan-o-dil-e-shams-o-qamar saut-o-nawa-e-bahr-o-bar hai mujh se gardish mein zamin mujh se hai daur-e-asman main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan inam ye mere liye aish-o-tarab mere liye hain roz-o-shab mere liye hain ek sab mere liye mazdur ka ho khash-kada ya ahl-e-daulat ka makan main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan mutrib ki aawazon mein hun chidiyon ki parwazon mein hun bajte hue sazon mein hun shah-zor jaan bazu mein hun uthte hain mere zor se tufan hon ya aandhiyan main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan himmat hai meri sifat-shikan izzat hai mera bankpan hai aajizi mera chalan kya gham jo hai rah-e-mehan hai dast-e-qudrat mein mere rakhsh-e-taraqqi ki inan main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan aadam ke dil ka raaz hun jibril ki parwaz hun daud ki aawaz hun main nuh ki dam-saz hun yusuf ne meri chah ki isa ki hun ruh-e-rawan main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan mere qadam jab dat gae teghon ke baadal chhat gae khud sher pichhe hat gae khatron ke halqe kat gae main ne fana ke ru-ba-ru hans hans ke lin angdaiyan main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan