waqt ko aate na jate na guzarte dekha na utarte hue dekha kabhi ilham ki surat jama hote hue ek jagah magar dekha hai shayad aaya tha wo khwabon se dabe panw hi aur jab aaya khayalon ko bhi ehsas na tha aankh ka rang tulua hote hue dekha jis din main ne chuma tha magar waqt ko pahchana na tha chand tutlae hue bolon mein aahat bhi suni dudh ka dant gira tha to wahan bhi dekha boski beti meri chikni si resham ki dali lipti-liptai hui reshmi tangon mein padi thi mujh ko ehsas nahin tha ki wahan waqt pada hai palna khol ke jab main ne utara tha use bistar par lori ke bolon se ek bar chhua tha us ko badhte nakhunon mein har bar tarasha bhi tha chudiyan chadhti utarti thin kalai pe musalsal aur hathon se utarti kabhi chadhti thin kitaben mujh ko malum nahin tha ki wahan waqt likha hai waqt ko aate na jate na guzarte dekha jama hote hue dekha magar us ko main ne is baras boski athaarah baras ki hogi