chhoTe kaam ka baDa natija

ek bachcha ki abhi kuchh use tamiz na thi
lahw-bazi se pasandida koi chiz na thi

khelna kudna khana yahi mamul tha bas
inhin tiflana tamannaon mein mashghul tha bas

ek talab tha do-chaar qadam ghar se pare
dil mein lahr aai lab-e-ab zara sair kare

saf pani se jo talab ko paya labrez
khel ka shauq tabiat mein hua aur bhi tez

aas-pas apne jo paya koi kankar patthar
phenk mara use pani mein bahut khush ho kar

khel tha pahle to ab turfa-tamasha dekha
dil hi dil mein mutahayyar tha ki ye kya dekha

daera ek bana aisa ki badhta hai muhit
gher li jis ne ki talab ki sab sath-e-basit

phir to khel us ka isi shaghl pe mauquf raha
isi nazzare mein ta-der wo masruf raha

isi asna mein hua bachche ki man ka bhi guzar
bola amman mujhe aai hai ajab chiz nazar

jo na dekhi na suni thi kabhi ab se pahle
shayad aai hai nazar mujh ko hi sab se pahle

ek zara si harakat aur ye tasir ajib
daera badh ke pahunchta hai kinare ke qarib

bas-ki ji jaan se is shobade par tha shaida
wusat-e-daera ki apni amal se paida

thi wo man ahl-e-dil aur nek-manush nek-nihad
hans ke farmaya meri jaan ye nasihat rakh yaad

yunhi har kaam ka ho jata hai anjam bada
go ki aaghaz mein hota nahin wo kaam bada

kabhi adna harakat zalzala ban jati hai
kabhi nachiz si ek baat ghazab dhati hai

yahi andaz-e-nikokari o bad-kari hai
awwalan khas thi ab aam mein wo jari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close